ajib rasmon riwajon ka bojh hai hum par

By syed-waseem-naqviJanuary 5, 2024
'ajib rasmon riwajon ka bojh hai hum par
bade buzurgon ki qabron ka bojh hai hum par
tumhin batao ki hum haq ko haq kahen kaise
amir-e-shahr ke danon ka bojh hai hum par


ki hum ne apne samundar pe zabt pa to liya
tumhein pata nahin lahron ka bojh hai hum par
hum aasman-e-sakhawat hain baat man to len
pa kya karen ki sitaron ka bojh hai hum par


hamein hamari mohabbat na mil sakegi kabhi
na jaane kitne riwajon ka bojh hai hum par
thakan utar ke hum so to jaenge lekin
sitam to ye hai ki khwabon ka bojh hai hum par


sisakne lagte hain aksar hamare khwab 'wasim'
ujala ho ke andheron ka bojh hai hum par
34524 viewsghazalEnglish