'ajib tarh ka mausam raha hai aankhon mein badan ka sara lahu jam raha hai aankhon mein koi bhi zakhm ho rone se halka hota hai har ek zakhm ka marham raha hai aankhon mein ye panchhi apna nasheman badalta rahta hai kabhi to dil mein kabhi gham raha hai aankhon mein main aansuon ko tabarruk samajh ke pita hun chhupa hua kahin zamzam raha hai aankhon mein 'ajab nahin hai ki kal bandh tut hi jae abhi to sail-e-bala tham raha hai aankhon mein kisi ki did ka lamha guzar chuka kab ka abhi bhi jashn ka 'alam raha hai aankhon mein jo dil mein ho wo hamesha dikhai deta hai wo dur rah ke bhi paiham raha hai aankhon mein dikhai deti hai har shai mujhe hasin 'kamal' kisi ke husn ka album raha hai aankhon mein