ajib thi wo ajab tarah chahta tha main wo baat karti thi aur khwab dekhta tha main visal ka ho ki us ke firaq ka mausam wo lazzaten thin ki andar se tutta tha main chadha hua tha wo nashsha ki kam na hota tha hazar bar ubharta tha dubta tha main badan ka khel thin us ki mohabbaten lekin jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main phir is tarah kabhi soya na is tarah jaga ki ruh nind mein thi aur jagta tha main kahan shikast hui aur kahan sila paya kisi ka ishq kisi se nibahta tha main main ahl-e-zar ke muqabil mein tha faqat shaer magar main jit gaya lafz haarta tha main