ajib waqia tha us ko apne ghar lana kabhi charagh uthana kabhi qamar lana bayan-e-ijz mein alfaz-e-mo'atabar lana bada kamal duaon mein hai asar lana bahut hai aaj tamanna udan bharne ki qafas se ja ke hamare shikasta par lana thake hue hain sabhi paemal rahon par kahin se dhund ke phir taza rah-guzar lana wo shokh rang ka shaida hai ye khayal rahe qarib aana to khud ko lahu mein tar lana bas ek kaam hua hum se zindagi mein 'imam' ayagh-e-umr sharab-e-ziyan se bhar lana