ajnabi ban ke to guzra mat kar

By shams-tabreziNovember 19, 2020
ajnabi ban ke to guzra mat kar
dosti ka yun tamasha mat kar
teri aankhen nahin do jugnu hain
be-sabab un ko bhigoya mat kar


us ke aane ka guman hota hai
ai hawa parda hilaya mat kar
main musafir hun safar qismat hai
mere bare mein tu socha mat kar


zindagi ho ki mohabbat ho shams'
aisi chizon pe bharosa mat kar
53032 viewsghazalEnglish