ajnabi shahr mein ghar yaad aaya dhup dekhi to shajar yaad aaya qalb-e-daulat ko tamanna-e-sukun zehn-e-iflas ko zar yaad aaya band darwaze pe dastak sun kar hai duaon mein asar yaad aaya dasht-e-afkar ki wusat ya-rab koi diwar na dar yaad aaya kaif-awar tere lahje ki khanak nashsha-e-zud-asar yaad aaya qasr-e-imroz mein urdu dekhi lal qila mein 'zafar' yaad aaya chand ashaar-e-'muazzam' kah kar aaj 'ghaalib' ka hunar yaad aaya