akela chhoD gaya mujhko qafila mera
By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
akela chhod gaya mujh ko qafila mera
safar mein sath raha sirf hausla mera
na jaane kitne masail ne us ko gher liya
wo jis ke samne pohncha hai masala mera
wo ru-baru bhi raha mahw-e-guftugu bhi raha
zara bhi kam na hua us se fasla mera
main koi subh ka akhbar to nahin yaro
yahin to khatm na hoga mu'amla mera
safar mein sath raha sirf hausla mera
na jaane kitne masail ne us ko gher liya
wo jis ke samne pohncha hai masala mera
wo ru-baru bhi raha mahw-e-guftugu bhi raha
zara bhi kam na hua us se fasla mera
main koi subh ka akhbar to nahin yaro
yahin to khatm na hoga mu'amla mera
51423 viewsghazal • English