aks-e-gul hun ki naqsh-e-hairat hun aaine main teri zarurat hun gunjta hun dilon ke gumbad mein ek aawaza-e-mohabbat hun na-rasai mera muqaddar hai zer-e-lab ek bayan-e-hasrat hun dil-e-asuda hai watan mera main tamanna-e-dasht-e-ghurbat hun main hun ek paikar-e-khayal-o-khwab aur kitni badi haqiqat hun garche main harf-e-khak hun 'khurshid' phir bhi zeb--ekitab-e-fitrat hun