aks ko phul banane mein guzar jati hai zindagi aaina-khane mein guzar jati hai sham hoti hai to lagta hai koi ruth gaya aur shab us ko manane mein guzar jati hai har mohabbat ke liye dil mein alag khana hai har mohabbat usi khane mein guzar jati hai zindagi bojh batata tha batane wala ye to bas ek bahane mein guzar jati hai tu bata aankh naya khwab kahan se dekhe roz shab tujh ko bhulane mein guzar jati hai wo chala jata hai aur saat-e-rukhsat 'ashfaq' jism ka bojh uthane mein guzar jati hai