alag-thalag rahe kabhi kabhi sabhi ke ho gae junun ka hath chhut gaya to be-hisi ke ho gae talab ki aanch kya bujhi badan hi rakh ho gaya hawa ke hath kya lage gali gali ke ho gae bahut dinon basi rahi teri mahak khayal mein bahut dinon talak tere khayal hi ke ho gae charagh-e-sham bujh gaya to dil ke dagh jal uthe phir aisi raushni hui ki raushni ke ho gae sukhan-wari ne hijr ko bhi sham-e-wasl kar diya teri talab siwa hui to shairi ke ho gae