alfaz hain ye sare usi ki zaban ke pahchanta hun tir main us ki kaman ke har bund pe guman tha moti ki aab ka aankhon mein ashk aae badi aan-ban ke har har ada-o-naz ki qimat the jaan-o-dil saude bahut hi mahnge the us ki dukan ke us ke ajab sawal the mere ajab jawab parche sabhi kharab hue imtihan ke gham se ziyaada aur na behtar laga koi unwan sainkadon the meri dastan ke kis sadgi se us ne ye 'sirat' kaha mujhe tare bhi tod sakte ho kya aasman ke