allah ai buto hamein dikhlae lucknow sote mein bhi ye kahte hain hum hae lucknow aisa hua hun hijr mein us ke nahif-o-zar dekhe agar mujhe wahin sharmae lucknow aae na mere pas to main aap hi chalun mujh ko khuda kare kahin bulwae lucknow kalkatta ke hasinon ko jab dekh leta hun us waqt dil mein hota hai sauda-e-lucknow ab lut gaya hai kya raha dozakh se badh ke hai rashk-e-bahisht kahte the sab ja-e-lucknow khush-chashmi aahuon ki wo bhule jahan mein dekhe jo aankh nargis-e-shahla-e-lucknow gulshan ajab bahaar ke har qasr rashk-e-khuld aur gomti ghazab ki hai dariya-e-lucknow hur-o-pari ko rashk tha ek ek shakhs par be-misl the sabhi mah-e-sima-e-lucknow marne ke baad bhi na mitega jigar se dagh jannat mein hum ko hoegi parwa-e-lucknow jab se hata hai wo tah-o-baala ye ho gaya jannat koi zarur tha baala-e-lucknow main kya kahun faqiron ko jo kuchh ghurur tha ek ek gada-e-shahr tha dara-e-lucknow hatta nahin tasawwur-e-asbab-o-mulk-o-mal kanon mein baj rahi hai wo shahna-e-lucknow kya kya hasin the jama paristan ka takhta tha nazron mein phirte hain rukh-e-zeba-e-lucknow shahon pe fakhr karte the is mulk ke gada tha misl-e-jam-e-jam mai-o-mina-e-lucknow har-chand lakh tarah bhulata hun yaad ko 'akhtar' pukar uthta hai dil hae lucknow