altaf bayan hon kab hum se ai jaan tumhaari surat ke hain lakhon apni aankhon par ehsan tumhaari surat ke munh dekhe ki ye baat nahin sach puchho to ab duniya mein behosh kare hain pariyon ko insan tumhaari surat ke aaina-rukhon ki mahfil mein jis waqt ayan tum hote ho sab aaina san rah jate hain hairan tumhaari surat ke kuchh kahne par mauquf nahin malum abhi ho jawega khurshid muqabil ho dekhe ek aan tumhaari surat ke ki arz 'nazir' ek bose ki jab hans kar chanchal bola yun is munh se bosa lijiyega qurban tumhaari surat ke