amal achchha nahin us ka jo Darta jae hai mujhse

By raheemullah-shadJanuary 27, 2022
amal achchha nahin us ka jo darta jae hai mujh se
wo kafir jo khuda ko bhi na saunpa jae hai mujh se
ye luqma hai ajal ka ya tere hathon ka bida hai
na ugla jae hai mujh se na nigla jae hai mujh se


kabhi himmat-shikan tufan kabhi sahil ka nazzara
na duba jae hai mujh se na taira jae hai mujh se
adu ke sath teri dil-lagi bhi ek ajab shai hai
na roka jae hai mujh se na dekha jae hai mujh se


kabhi tanhai mein wo guftugu mujh se lagawat ki
sar-e-bazar mil jae to akda jae hai mujh se
wajud-e-alam-e-fani mein ye aasaniyan kaisi
khuda ka ghar hai dil nazdik hota jae hai mujh se


agar main dekhta hun is bayaban-e-chaman ko 'shad'
koi manzar achanak dur hota jae hai mujh se
83044 viewsghazalEnglish