amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main
By nusrat-mehdiNovember 12, 2020
amal ka radd-e-amal waqt ka jawab hun main
qubul kijiye qudrat ka intikhab hun main
aziyyaton ka safar sabr aur khamoshi
abhi to sare mahazon pe kaamyab hun main
tumhaare shauq mein shamil nahin junun abhi
tumhaari tishna-labi ke liye sarab hun main
ana pe aai to takra gai hun dariya se
bisat waise meri kuchh nahin habab hun main

53144 viewsghazal • English