amiron tak rasai ho chuki bas meri bakht-azmai ho chuki bas bahaar ab ke bhi jo guzri qafas mein to phir apni rihai ho chuki bas kahan tak us se qissa qaziya har shab bahut baham ladai ho chuki bas na aaya wo mere jate jahan se yahin tak aashnai ho chuki bas laga hai hausla bhi karne tangi ghamon ki ab samai ho chuki bas barabar khak ke to kar dikhaya falak bas be-adai ho chuki bas dani ke pas kuchh rahti hai daulat hamare hath aai ho chuki bas dikha us but ko phir bhi ya khudaya teri qudrat-numai ho chuki bas sharar ki si hai chashmak fursat-e-umr jahan de tuk dikhai ho chuki bas gale mein gerwi kafni hai ab 'mir' tumhaari mirzai ho chuki bas