ana zada tha kahin par kahin par aan-zada zamin ki zad se nikalne tak aasaman-zada yahan pe dasht o samundar ki baat mat karna hamare shahr ka har shakhs hai makan-zada khayal-o-khwab ke mausam badalne wale hain hujum wahm-o-tasawwur mein hai guman-zada to baal-o-par ki numaish pe harf aa jata hawa ka rukh na palatta agar udan zada hamare baad hamein dhundne ke sab raste hamari khak mein mil jaenge nishan-zada bhanwar se dub ke ubhra to ye khula mujh par samundari thin hawaen main baadban-zada sab apna harf-e-maani bana rahe hain 'sharar' ye lafz lafz to sadiyon se hain zaban-zada