andar ka sukut kah raha hai mitti ka makan bah raha hai shabnam ke amal se gul tha larzan suraj ka itab sah raha hai bistar mein khula ki tha akahra wo jism jo tah-ba-tah raha hai patthar ko nichodne se hasil har chand nadi mein rah raha hai aaina pighal chuka hai 'shahid' sakit hun main aks bah raha hai