andher shab-e-hijr mein kya kya nahin hota kab hashr sar-e-sham se barpa nahin hota bimar-e-mohabbat kabhi achchha nahin hota ye dard wo hai jis ka mudawa nahin hota ho lakh hasin husn ka shahra nahin hota tum ko to zara khauf khuda ka nahin hota maqbul wahan ishq ka sajda nahin hota jis ja pa tera naqsh-e-kaf-e-pa nahin hota ye dil usi qabil hai use khub jalao us par jo sitam hota hai beja nahin hota apnon hi se hoti hai shikayat bhi gila bhi ulfat mein kisi ghair se shikwa nahin hota aata hi samajh mein nahin iqrar bhi un ka hota hai us andaz se goya nahin hota ye bhi meri qismat ki zaban aisi mili hai jis se ki ada harf-e-tamanna nahin hota ai shaikh khule bandon mein pine mein maza hai ye shaghl chhupa kar pas-e-parda nahin hota aata hai mujhe dasht nazar josh-e-junun mein haalanki wo ghar hota hai sahra nahin hota be-gham hain har ek fikr se rindan-e-kharabaat un ko kabhi andesha-e-farda nahin hota ye sakhtiyan har roz ki kaise sahe koi insan ke patthar ka kaleja nahin hota ab gham bhi mere dil se ye karta hai shikayat is khana-viran mein guzara nahin hota ai shaikh ye barkat hai ki p jate hain lakhon phir bhi kabhi khali khum-e-sahba nahin hota wo hum bhi sunen taur pe jo tum ne suna tha hum se to yahi hazrat-e-musa nahin hota zahir mein chhupen aaen nigahon mein dilon mein tauhin hai parde ke ye parda nahin hota aa padti hai uftad kuchh is tarah ki naseh ulfat mein koi shauq se ruswa nahin hota kah do zara aghyar se sanbhle hue aaen maqtal hai yahan khel tamasha nahin hota the talib-e-didar to sanbhle hue rahte musa koi yun mahw-e-tajalli nahin hota ulfat mein maza 'ishq mein lazzat nahin milti jab tak ki koi dard sarapa nahin hota