andhera din ke ujale nigal gaya kaise

By sabir-naseerabadiOctober 26, 2023
andhera din ke ujale nigal gaya kaise
charagh sham se pahle hi jal gaya kaise
abhi to raat ka bas ek pahar hi bita hai
abhi se subh ka suraj nikal gaya kaise


jo nabz nabz mein sayyal ban ke bahta hai
wo harf harf nazar se nikal gaya kaise
wo sabz ped jo sukhe mein bhi nahin sukha
magar wo aaj hi shabnam se jal gaya kaise


bulandiyon ko fazaon ki napne wala
qadam uthane se pahle phisal gaya kaise
wo sanglakh chatanon ka aahani paikar
hamare mom se lahje mein dhal gaya kaise


har ek lamha qayamat hai aaj ai 'sabir'
sawab apna 'azabon mein dhal gaya kaise
37583 viewsghazalEnglish