andheri raat ka chehra ujalta kab tak

By sabir-naseerabadiOctober 26, 2023
andheri raat ka chehra ujalta kab tak
qadam qadam pe qayamat khangalta kab tak
use bhi bhuk lagi thi main khud bhi pyasa tha
wo meri baat ko baaton mein talta kab tak


use to pi gain chingariyan hi jazbon ki
faza mein kanch ke tukde uchhaalta kab tak
jo lamha lamha dhansa ja raha tha daldal mein
ghamon ke bojh wo aakhir sanbhaalta kab tak


lahuluhan tha haalat ka badan 'sabir'
usul apna ahinsa sanbhaalta kab tak
99554 viewsghazalEnglish