andheri shab ki abhi mat hone wali hai
By manzoor-ul-haq-nazirOctober 25, 2023
andheri shab ki abhi mat hone wali hai
yahan pe nur ki barsat hone wali hai
sama'aton mein 'ajab sansani si hoti hai
na jaane kis se meri baat hone wali hai
zamana tarsa hai didar ke liye jis ke
usi se meri mulaqat hone wali hai
parinde apne baseron ki or jaane lage
ye lag raha hai ki ab raat hone wali hai
abhi to kam hai magar khauf hai yahi nazir
kuchh aur sakhti-e-haalat hone wali hai
yahan pe nur ki barsat hone wali hai
sama'aton mein 'ajab sansani si hoti hai
na jaane kis se meri baat hone wali hai
zamana tarsa hai didar ke liye jis ke
usi se meri mulaqat hone wali hai
parinde apne baseron ki or jaane lage
ye lag raha hai ki ab raat hone wali hai
abhi to kam hai magar khauf hai yahi nazir
kuchh aur sakhti-e-haalat hone wali hai
71240 viewsghazal • English