angdai bhi wo lene na pae utha ke hath dekha jo mujh ko chhod diye muskura ke hath she couldn't stretch her limbs, with all her ample grace on seeing me she smiled and kept, her modesty in place be-sakhta nigahen jo aapas mein mil gain kya munh par us ne rakh liye aankhen chura ke hath inadvertently, when, our eyes did chance to meet she looked away from me, and then, covered up her face ye bhi naya sitam hai hina to lagaen ghair aur us ki dad chahen wo mujh ko dikha ke hath tis a novel torture, henna, my rival applies while she waits for compliments from me- so in my face!! be-ikhtiyar ho ke jo main panw par gira thodi ke niche us ne dhara muskura ke hath --- --- gar dil ko bas mein paen to naseh teri sunen apni to marg-o-zist hai us bewafa ke hath --- --- wo zanuon mein sina chhupana simat ke hae aur phir sambhaalna wo dupatta chhuda ke hath she doubles up to hide her bosom- such a pity sigh! then straightens up again to get her scarf back into place qasid tere bayan se dil aisa thahar gaya goya kisi ne rakh diya sine pe aa ke hath --- --- ai dil kuchh aur baat ki raghbat na de mujhe sunni padengi saikdon us ko laga ke hath --- --- wo kuchh kisi ka kah ke satana sada mujhe wo khinch lena parde se apna dikha ke hath --- --- dekha jo kuchh ruka mujhe to kis tapak se gardan mein meri dal diye aap aa ke hath --- --- phir kyun na chaak ho jo hain zor-azmaiyan bandhunga phir dupatta se us be-khata ke hath wherever do i go to if i, from your street depart with both the worlds forsaken, there is no other place kuche se tere utthen to phir jaen hum kahan baithe hain yan to donon jahan se utha ke hath --- --- pahchana phir to kya hi nadamat hui unhen pandit samajh ke mujh ko aur apna dikha ke hath i do recall her offering to me the glass of wine holding out her hand this way turning away her face dena wo us ka saghar-e-mai yaad hai 'nizam' munh pher kar udhar ko idhar ko badha ke hath