apna gham le ke kahin aur na jaya jae ghar mein bikhri hui chizon ko sajaya jae jin charaghon ko hawaon ka koi khauf nahin un charaghon ko hawaon se bachaya jae khud-kushi karne ki himmat nahin hoti sab mein aur kuchh din abhi auron ko sataya jae bagh mein jaane ke aadab hua karte hain kisi titli ko na phulon se udaya jae kya hua shahr ko kuchh bhi to dikhai de kahin yun kiya jae kabhi khud ko rulaya jae ghar se masjid hai bahut dur chalo yun kar len kisi rote hue bachche ko hansaya jae