apna muhasba kabhi karne nahin diya khud-biniyon ne hum ko sanwarne nahin diya haalat ne agarche sujhai gadagari meri ana ne mujh ko bikharne nahin diya tufan se khelne ka raha shauq umr bhar sahil pe jis ne mujh ko utarne nahin diya almariyon mein qaid raha apna sara ilm qalb-o-nazar ko hum ne nikharne nahin diya duniya se kab ka uth gaya hota main ai sanam lekin tere khayal ne marne nahin diya manzil to mere samne aati rahi 'obaid' josh-e-junun ne mujh ko thaharne nahin diya