apna pata mujhe bata bahr-e-khuda tu kaun hai tujh pe hain sare mubtala bahr-e-khuda tu kaun hai nam-e-khuda suna kiya tere siwa nahin mila sari sifat se hai bhara bahr-e-khuda tu kaun hai tera hasad to nam tha ho gaya banda kis tarah teri hi zat hai baqa bahr-e-khuda tu kaun hai tere se hast kul hui thi tu adam mein be-nishan hadi muzil hai barmala bahr-e-khuda tu kaun hai malik-e-do-jahan hai tu chahe jise ata kare kar de gada ko baadsha bahr-e-khuda tu kaun hai tere karam se ai shaha main ne khuda-numa hua tha tu fana baqa mila bahr-e-khuda tu kaun hai 'markaz'-e-jumla-kaenat mazhar-e-zat-e-kibriya tere siwa nahin hua bahr-e-khuda tu kaun hai