apna rafiq-o-ashna ghair-e-khuda koi nahin ranj-o-mehan mein gham-zada ghair-e-khuda koi nahin puchha jo main hakim se illat-e-kun-fakan hai kaun soch ke us ne ye kaha ghair-e-khuda koi nahin ka'be ka shab ko main jo ja halqa-e-dar hila diya aai sada ye andar aa ghair-e-khuda koi nahin aarif agar ba-chashm-e-ghaur aaina-e-jahan ke bich dekhe to samjhe runuma ghair-e-khuda koi nahin garche jahan hai ma-siwa zat ke us ki 'mushafi' sochiye phir to ma-siwa ghair-e-khuda koi nahin