apne ahd-e-wafa se ru-gardani karta rahta hai meri subhon shamon ki nigrani karta rahta hai kya kahiye kis mushkil mein baqi hai mohabbat ka misaq jis par aae din wo khud nigrani karta rahta hai us ke apne ghar ka safaya din ko kaise ho paya wo jo shab bhar shahr ki khud nigrani karta rahta hai dil ne us ko bhula dene ka azm to kitni bar kiya dil pagal hai khud hi na-farmani karta rahta hai meri na-samjhi ke bais us ke masail ulajh gae meri khatir jo paida aasani karta rahta hai yun lagta hai us ke din bhi pure hone wale hain hadd-e-bisat se badh kar wo man-mani karta rahta hai us ki jhuti tardidon ko sun kar chup ho jata hun mere khilaf jo din bhar ghalat-bayani karta rahta hai jis ko tu ne apne hathon uncha kiya hai jaan 'salim' mere khilaf wahi to zahr-afshani karta rahta hai