apne alfaz-o-maani se nikal aaya hai

By akram-jazibOctober 24, 2020
apne alfaz-o-maani se nikal aaya hai
wo kahani ki rawani se nikal aaya hai
khinch lai hai hamein chandni shab mein khushbu
sanp bhi raat ki rani se nikal aaya hai


khud ko ru-posh kiya kitne hi kirdaron mein
phir bhi fankar kahani se nikal aaya hai
jag utthi hai tadap dur chale jaane se
rasta naql-e-makani se nikal aaya hai


phut bahne lage thokar se phaphole dil ke
dard ehsas ke pani se nikal aaya hai
tajarbe bandh ke gathdi mein rakhe kandhon par
ek budhapa bhi jawani se nikal aaya hai


hikmaten fikr-o-tadabbur mein rakhi hain 'jazib'
falsafa shoala-bayani se nikal aaya hai
36050 viewsghazalEnglish