apne bare mein jab bhi socha hai us ka chehra nazar mein ubhra hai tajrabon ne yahi bataya hai aadmi shohraton ka bhuka hai dekhiye to hai karwan warna har musafir safar mein tanha hai us ke bare mein sochne walo dekh lo ab ye haal apna hai kaun bandish lagae khushbu ki ishq fitrat ka ek taqaza hai yaad aai hai jaane kis kis ki lab pe jab zikr us ka aaya hai fikr ki talkhiyon mein gum ho kar aadmi be-sabab bhi hansta hai aarzumand koi ho to kahun mere dil mein bhi ek tamanna hai mere chehre pe jo likha hai 'nazar' ghaur se kis ne us ki samjha hai