apne fan mein yakta hun

By arif-hasan-khanOctober 25, 2020
apne fan mein yakta hun
main bhi tere jaisa hun
sare jag mein tanha hun
jab se tujh se bichhda hun


mujh mein bas tu hi tu hai
main tera aaina hun
mujh se ye kaisi duri
main to tera saya hun


jab se tu ne thukraya
galiyon galiyon bhatka hun
dil ki banjar dharti mein
mithe sapne bota hun


zar walon ki basti mein
'arif' khota sikka hun
19932 viewsghazalEnglish