apne hi dil ki baat se mahka gaya hun main

By aadil-aseer-dehlviJanuary 1, 2025
apne hi dil ki baat se mahka gaya hun main
apne hi ruh-o-jism mein ghulta gaya hun main
aisi hi kuchh kashish hai jo hun farsh-e-khak par
warna bulandiyon se bhi uncha gaya hun main


ai 'ishq rah-e-dost hai dushwar-tar bahut
ya'ni nigah-e-naz mein aaya gaya hun main
har chehra aaina hai nigahon ke samne
har aaine ke qalb mein dekha gaya hun main


maqsad har ek nigah ka meri nazar mein tha
kya kya fareb-e-dost hain batla gaya hun main
phir koi baat meri saba le ke ud gai
khushbu ki tarh phulon se udta gaya hun main


ya to tere shabab ko pahunchi nahin nazar
ya wus'at-e-khayal se ghabra gaya hun main
har ibtidai marhala pesh-e-nazar bhi tha
kya hai maal-e-'ishq ye samjha gaya hun main


ash'ar mere tere tasawwur ka jazb hain
jaise tere khayal se milta gaya hun main
50451 viewsghazalEnglish