apne hi dil mein nahin har dil mein ghar maine kiya

By mast-hafiz-rahmaniFebruary 27, 2024
apne hi dil mein nahin har dil mein ghar main ne kiya
is tarah se zindagi ka tai safar main ne kiya
khun-e-dil se 'umr-bhar main ne sajae baam-o-dar
zindagi ka lamha-lamha ba-hunar main ne kiya


us ne bakhshi 'ishq ke sahra ki mujh ko sahibi
aur har zarre se us ko jalwa-gar main ne kiya
mah-o-anjum fikr ki qimat chuka sakte nahin
apne ek ek harf ko rashk-e-guhar main ne kiya


ek ek tahni se milti thin hazaron ne'maten
phir bhi un pedon ko be-barg-o-samar main ne kiya
'mast' sha'ir hun magar waqif hun apne farz se
be-khabar rah kar bhi sab ko ba-khabar main ne kiya


50979 viewsghazalEnglish