apne hi sae mein tha mein shayad chhupa hua jab khud hi hat gaya to kahin rasta mila jalte rahe hain apne hi dozakh mein raat din hum se ziyaada koi hamara adu na tha dekha na phir palat ke kisi shahsawar ne main har sada ka naqsh-e-qadam khojta raha diwar phand kar na yahan aaega koi rahne do zakhm-e-dil ka daricha khula hua nikla agar to hath na aaunga phir kabhi kab se hun is badan ki kaman mein tana hua bedar hain shuur ki kirnen kahin kahin har zehn mein hai wahm ka tarik rasta ju-e-nashat ban ke baha le gai mujhe aawaz thi ki saz-e-jawani ka aks tha itna bhi kaun hoga halak-e-fareb-e-rang shab us ne mai jo pi hai to mujh ko nasha hua 'farigh' hawae dard ne lauta diya jise aaega ek din mera ghar puchhta hua