apne honTon pe na shikwe na gile hain sahab

apne honton pe na shikwe na gile hain sahab
rah gae gham so muqaddar se mile hain sahab

pas-e-zindan sar-e-maqtal bhi sar-e-dar bhi hum
kya yahi apni wafaon ke sile hain sahab

mai-kashi ko na sahi waz ko aae honge
mai-kade mein bhi hamein shaikh mile hain sahab

ek arsa hua yun tark-e-talluq ko magar
un ki yaadon ke kanwal ab bhi khile hain sahab

tab bhi bardasht kiya ab bhi sitam kar dekhen
hont apne the sile ab bhi sile hain sahab

ye meri izzat-o-shohrat ye taraqqi ye uruj
ye meri man ki duaon ke sile hain sahab

'rashid'-e-khasta se lagti hai shanasai bahut
aap kya pahle kabhi us se mile hain sahab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close