apne ji ko hi ab jalate hain

By koki-gulJanuary 18, 2022
apne ji ko hi ab jalate hain
aao kuchh rog dhund late hain
jhut insan ki ho gai khaslat
sach ko bhaari saza sunate hain


nekiyan karte hain dikhawe ki
ab ye dariya mein kab bahate hain
tum se achchhe to hain parinde hi
jo sar-e-sham laut aate hain


raat ko katne mein tare bhi
hath 'gul' ka bhi ab batate hain
32795 viewsghazalEnglish