apne junun ki taza hikayat hai aaj bhi

By saghir-ahmad-sufiFebruary 28, 2024
apne junun ki taza hikayat hai aaj bhi
diwangi hi sham'-e-hidayat hai aaj bhi
tark-e-ta'alluqat ko barson guzar gae
lekin kisi ki yaad salamat hai aaj bhi


un ke hasin tarz-e-taghaful ki khair ho
meri wafa se jin ko shikayat hai aaj bhi
aaya kabhi tha shahr-e-nigaran se dil-figar
palkon pe sail-e-ashk-e-nadamat hai aaj bhi


'sufi' ne kar diya sar-e-taslim kham magar
is anjuman mein zikr-e-baghawat hai aaj bhi
70494 viewsghazalEnglish