apne sab daftar ke sathi yar hamara koi nahin

By mahmood-kazimJuly 3, 2021
apne sab daftar ke sathi yar hamara koi nahin
kursi mez ka un se rishta dil ka rishta koi nahin
dar pe mere wo jab tak pahuncha khul gae rah ke darwaze
main ne socha tha ki yahan par us ka shanasa koi nahin


wo bhi achchhe aap bhi achchhe kaun bura hai lekin han
jo hum ko achchha kahta hai us se achchha koi nahin
aao zara chal kar to dekhen kaun hain ye kaise hain log
ek muddat se is basti mein aata jata koi nahin


raat hawa kuchh tez thi shayad bol rahe the darwaze
puchhte kyon ho kaun aaya tha kaun aaya tha koi nahin
ghar ko to hamsae ne chhina sae ban ke rahe 'kazim'
khat ka jawab na tum ab dena apna thikana koi nahin


77042 viewsghazalEnglish