apne tewar se jo kar deta hai sab ko la-kalam

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
apne tewar se jo kar deta hai sab ko la-kalam
us ki khidmat mein karunga pesh aaj apna kalam
shahr mein koi mujhe pahchan hi pata nahin
aur sahra mein kisi se main nahin karta kalam


meri khamoshi ki mahfil mein koi to dad de
hai koi mere siwa jo kah sake aisa kalam
hum bure logon ki sohbat ne kiya us ko kharab
wo bhi tanhai mein dohraata raha apna kalam


mukhtalif andaz ki shadi hai ye baraatiyo
phul si zinda zamin aur zahr sa sachcha kalam
sare jazbon ke dukan-daron ki jeben bhar gain
bik gaya bazar mein jitna bhi tha sasta kalam


30778 viewsghazalEnglish