apni aaghosh-e-faraghat mein paDa rahta hun

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
apni aaghosh-e-faraghat mein pada rahta hun
waqt itna hai ki hairat mein pada rahta hun
aa batata hun tujhe kitni hasin hai duniya
main jahan teri mohabbat mein pada rahta hun


tu mujhe jaanta hai aur bahut jaanta hai
bas isi nashsha-e-shohrat mein pada rahta hun
tujh se milne ka bhi imkan ziyan lagta hai
jaane kis 'alam-e-wahshat mein pada rahta hun


jari-o-sari hai bas ek tamanna ka tawaf
raat din hujra-e-hasrat mein pada rahta hun
hath apne nahin badhte kisi khwahish ki taraf
khak udti hai to khalwat mein pada rahta hun


mujh ko bandha hai kisi sham ki raqqasa ne
surmai husn ki chahat mein pada rahta hun
jism ki jagti duniya mein andhera kar ke
main ki bas ruh ki dahshat mein pada rahta hun


59618 viewsghazalEnglish