apni aankhen hain aur tumhaare KHwab

By raees-rampuriMay 5, 2021
apni aankhen hain aur tumhaare khwab
kitne pur-kaif hain hamare khwab
un ke haq mein bada sahaara hain
dekhte hain jo be-sahaare khwab


hasil-e-zindagi jinhen kahiye
kuchh hamare hain kuchh tumhaare khwab
yunhi bante bigadte rahte hain
gardish-e-waqt ke sahaare khwab


han na tute tilism-e-khush-fahmi
yunhi dekho 'rais' pyare khwab
57579 viewsghazalEnglish