apni aankhen tere chehre pe laga kar dekhun
By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
apni aankhen tere chehre pe laga kar dekhun
aur phir apna bikharta hua manzar dekhun
nind aae to koi gosha-e-tanhai bahut
panw phailane ki hasrat ho to chadar dekhun
kitni raaten isi khwahish mein bitain main ne
chand nikle to zara ghar se nikal kar dekhun
pesh jab kar hi chuka harf-e-aqidat us ko
kyon na us hath pe iman bhi la kar dekhun
'aks shayad hai salamat pas-e-aina-e-jaan
apni jaanib kai badhte hue lashkar dekhun
kaun is tishnagi-e-ruh-o-badan ko samjhe
bich sahra mein khade ho ke samundar dekhun
mausam-e-sang-zani ki hai khabar garm 'jamal'
dast-o-bazu kabhi dekhun to kabhi sar dekhun

91496 viewsghazal • English