apni aankhon se tabahi ye nazara dekhun

By aadil-rahiSeptember 7, 2024
apni aankhon se tabahi ye nazara dekhun
ya'ni tujh ko main kisi aur ka hota dekhun
meri diwangi is mod pe le aai hai
har kisi chehre mein bas ek hi chehra dekhun


ye jo taswir musawwir ne banai warna
chand ko thahre hue pani mein chalta dekhun
tishnagi lakh sahi par ye nahin ho sakta
khud ko lachaar banaun su-e-dariya dekhun


ye teri zid ki tadapta hua dekhe mujh ko
meri khwahish ki hamesha tujhe hansta dekhun
samne tujh ko bithaun tera matha chumun
teri aankhen teri zulfen tera chehra dekhun


do qadam chal ke ye dil ne kaha 'adil-rahi'
aakhiri bar palat kar use jata dekhun
93214 viewsghazalEnglish