apni aawaz ki zanjir se aazad na kar
By noman-badrFebruary 28, 2024
apni aawaz ki zanjir se aazad na kar
qatl kar de magar aise mujhe barbaad na kar
mujh se ghussa ho mujhe dant gareban pakad
bas judai ki koi baat sitam-zad na kar
jitna mumkin ho mohabbat-zada logon mein na baith
zakhm-alud rifaqat ko kabhi yaad na kar
is ko ujda hua danista banaya gaya hai
ajnabi tu dil-e-nashad ko aabaad na kar
hum hain pahle hi tere makhmalin lahje ke asir
ab tu is chashm-e-ghazal-zad ko sayyaad na kar

32999 viewsghazal • English