apni basti chhoD kar pardes mein jaenge kya
By khalilur-rahman-azmiFebruary 27, 2024
apni basti chhod kar pardes mein jaenge kya
yan to hai nan-e-jawin bhi wan magar khaenge kya
har taraf ek sang-bari ghar se niklen kis tarah
sar salamat hi na ho to sar ko sahlaenge kya
apni apni fikr sab ko apne apne sab ko gham
koi mil jae bhi to ab dil ko bahlaenge kya
kaise pichhli raat guzri kaise nind aai tumhein
subh ka suraj jo puchhega to batlaenge kya
hum bhi the ‘ali-dimagh aur hum bhi the ‘ali-nasab
gar kahen apni zaban se log farmaenge kya

67880 viewsghazal • English