apni har baat zamane se chhupani paDi thi

By mumtaz-gurmaniNovember 9, 2020
apni har baat zamane se chhupani padi thi
phir bhi jis aankh mein dekha to kahani padi thi
main ne kuchh rang churae the kisi titli ke
aur phir umr hifazat mein bitani padi thi


kal kisi ishq ke bimar pe dam karna tha
pir-e-kaamil ko ghazal meri sunani padi thi
kucha-e-ishq se nakaam palatne wale
tu ne dekha tha wahan meri jawani padi thi


dil na sah paya kisi aur se qurbat us ki
mujh ko diwar se taswir hatani padi thi
main bahut jald budhape mein chala aaya tha
bin tere umr ki raftar badhani padi thi


us ki hasrat ka badan barf na ho jae kahin
apne sine mein mujhe aag lagani padi thi
tere 'mumtaz' ko gham maut ka bas is liye hai
apne baalon mein tujhe khak rawani padi thi


86220 viewsghazalEnglish