apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko

By abdul-aleem-aasiApril 22, 2024
apni hasti se tha khud main bad-guman kal raat ko
kuchh na tha andesha-e-sud-o-ziyan kal raat ko
chandni barsat sehn-e-gulsitan dilkash hawa
thin hujum-e-gham mein ye ranginiyan kal raat ko


wusat-e-takhil ke halqe mein tha arsh-e-barin
dekhti thin chashm-e-dil kaun-o-makan kal raat ko
mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jam-e-sharab
mehrban tha wo but-e-na-mehraban kal raat ko


wo mohabbat ki nigahen wo mohabbat ke kalam
han do-baala thi ada-e-dil-satan kal raat ko
har nazar paigham har andaz mein raqsan ummid
aur hi tha us ka tarz-e-imtihan kal raat ko


iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jila
warna tha jazbaat ka dariya rawan kal raat ko
zauq se wo sun rahe the dastan-e-gham meri
ho raha tha inqilab-e-asman kal raat ko


dil ki ek aawaz thi is bazm mein tafsir-e-gham
ho chuke the wo bhi majbur-e-fughan kal raat ko
tafarqe be-aitmadi dushmani makr-o-fareb
thi teri tabir ai hindostan kal raat ko


so chuke the chand hi ghanton mein arbab-e-nashat
subh tak tha sath wo aaram-e-jaan kal raat ko
rang-e-sahba chashm-e-nargis mein tha 'asi' waqt-e-subh
jagne se ho rahi thin khun-fishan kal raat ko


39332 viewsghazalEnglish