apni izzat ka kuchh KHayal rakho

By ahmed-arsalanJanuary 1, 2024
apni 'izzat ka kuchh khayal rakho
ye badi shai ise sanbhaal rakho
lazmi hai ki zist mein ho rang
maut ka bhi to kuchh khayal rakho


bhuk kya hai kabhi pata na chale
munh mein luqma agar halal rakho
ye padosi bhi kaam aaenge
in se rishta sada bahaal rakho


ek din khud hunar bhi nikhrega
kuchh to hathon mein tum kamal rakho
lao dariya-e-fan se kuchh moti
samne khalq ke misal rakho


fikr logon ki kab talak 'ahmad'
apna bhi tum zara khayal rakho
13102 viewsghazalEnglish