apni KHatir ai KHuda ye kaam kar

By nomaan-shauqueFebruary 27, 2024
apni khatir ai khuda ye kaam kar
ek din duniya ko bhul aaram kar
yaad hai majnun miyan mera kaha
'ishq farma dasht mein ja nam kar


khush raho kahte hain jo pahchan unhen
dushmanon ki sazishen nakaam kar
ek roz us ne qarib aa kar kaha
raushni de lams ki gulfam kar


kya likha hai in kitabon mein na dekh
'ishq sachcha hai to apna kaam kar
sau jatan kar ke use raazi kiya
jis tarah bhi ho mujhe badnam kar


khat mein khushbu-e-hawas thi kya kaha
aisa hai to khat ka mazmun 'am kar
53259 viewsghazalEnglish