apni KHatir sitam ijad bhi hum karte hain

apni khatir sitam ijad bhi hum karte hain
aur phir nala-o-fariyaad bhi hum karte hain

ek duniya meri aabaad hai jin se wahi khwab
kabhi paspa kabhi barbaad bhi hum karte hain

khana-e-jism mein hangama macha rakkha hai
le meri jaan tujhe aazad bhi hum karte hain

apne ahbab pe karte hain dil o jaan nisar
aur aksar unhen na-shad bhi hum karte hain

ranj-e-ulfat ke siwa ai dil-e-nadan bata
tha koi ranj jise yaad bhi hum karte hain

aur bhi log hain is kar-e-ziyan mein ham-rah
so in ashaar ko irshad bhi hum karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close